|
Post by tanhaa on Dec 4, 2009 23:23:15 GMT 5
Din raat key anay janay mein dunya key ajaib khanay mein
kabhi sheeshay dhundlay hotay hain, kabhi manzar saaf nahin hotay… kabhi suraj baat nahin kerta, kabhi taray ankh badaltay hain… kabhi manzil peechay rehti hay, kabhi rastay agay chltay hain!!!
Kabhi asain tor nahin charhti, kabhi khadshay pooray hotay hain. Kabhi ankhain deikh nahin saktein Kabhi khwab adhoray hotay hain.
yeh sab shai tu hay leikin is ashoob key manzar namay mein din rat key anay janay mein dunya key ajaib khanay mein
Kabhi saya karti ankhon key payman tu dikhai detay hain hathon sey agarchay door sahi
Manzil sey koson door sahi per door sahi, ranjoor sahi, zakhmon sey musaffir choor sahi per kis sey kahein, “ay-jan-e-wafa” “kuch ghao tu aisay hotay hain jinhain zakhmi aap hi dhotay hain bin roye huay anso ki tarah sapnay mein chupa ker rakhtay hain or sari umar nahin rotay
Neendain bhi muhaya hoti hay sapnay bhi door nahin hotay kiyon phir jagtay rehtay hain?? kiyon sari raat nahin sotay???
Ab kis sey kahein a jan-e-wafa, a ahl-e-wafa kis aag mein jaltay rehtay hain, kiyon bujh key rakh nahin hotay. imkan tu dikhai detay hain
|
|
|
Post by theperfectstorm on Dec 4, 2009 23:32:14 GMT 5
Dats really really |itnee | nice k making me crazyy!!!!!!!!!!! thnx 4 posting here............
|
|